Mujhe chaubara se chahat thi
Wo bazaro k ashiq the
Meri dahlij me sama jana
Us parinde ko na gwara tha....
Uchaiya thi fitrat uski
Mujhe nafrat thi udano se
Uska rukna bhi muskil tha
Mujhe na chalna gwara tha...
Mujhe uski bhi chahat thi
Use meri bhi hasrat thi
Magar dono k bich firse
Jamana wahi purana tha...
Jo palko k saye me
Dabe paao chala aaya
Wo jarurat to thi meri
Magar kissa tumhara tha...
Mujhe malum bhi tha ye
Use mujhse h juda hona
Use meri kadar na thi
Mujhe khud ko mitana tha...
Chala do pal ko bhi na fir bhi
Lage sadiyo sa Jo lamba
Gatha na thi do kalo ki
Tera-Mera afsana tha...
Mujhe tujhse mohabat thi
Teri kuch or hi chahat thi
Naye dard roz de Jo mujhko
Wo karan ek purana tha...
Tujhse chupa nhi kuch bhi
Mujhe har bat hai malum
Ye kissa to Hal-e-Dil ka
Jamane ko sunnana tha...
#PranitParas
Wo bazaro k ashiq the
Meri dahlij me sama jana
Us parinde ko na gwara tha....
Uchaiya thi fitrat uski
Mujhe nafrat thi udano se
Uska rukna bhi muskil tha
Mujhe na chalna gwara tha...
Mujhe uski bhi chahat thi
Use meri bhi hasrat thi
Magar dono k bich firse
Jamana wahi purana tha...
Jo palko k saye me
Dabe paao chala aaya
Wo jarurat to thi meri
Magar kissa tumhara tha...
Mujhe malum bhi tha ye
Use mujhse h juda hona
Use meri kadar na thi
Mujhe khud ko mitana tha...
Chala do pal ko bhi na fir bhi
Lage sadiyo sa Jo lamba
Gatha na thi do kalo ki
Tera-Mera afsana tha...
Mujhe tujhse mohabat thi
Teri kuch or hi chahat thi
Naye dard roz de Jo mujhko
Wo karan ek purana tha...
Tujhse chupa nhi kuch bhi
Mujhe har bat hai malum
Ye kissa to Hal-e-Dil ka
Jamane ko sunnana tha...
#PranitParas